Tuesday, January 18, 2011

Unki 'na' par sawal hume bhi tha....

Hume pyar ab bhi hai
hume pyar tab bhi tha
par unki ek 'na' par
sawal hume bhi tha

unhone kaha chale jao apne raste
humne kaha kahan jaye har rasta tumhi ko tha

unhone kaha na yaad karna hume ab
humne kaha yad karne ke liye bhulna zaruri tha

unhone kaha reh lenge hum akele,chand bi to akela hai
humne kaha hum to tare hai tumhare,bin taro ke to chand bhi adhura hai

unhone kaha hume koi aur mil gaya
humne kaha tumme hume apna pyar mil gaya

unhone kaha kyu chahte ho hume itna?
Humne kaha sache pyar ko iska jawab hi to nahi milta

unhone kaha hum ja rahe hai aur ab kabi nahi aayenge
humne kaha hum intezar karenge aur aap zaroor aayenge....

Hume pyar ab bhi hai
hume pyar tab bhi tha
par unki 'na' par
sawal hume bhi tha...

By abhimusafir..... :)

No comments:

Post a Comment